Showing posts with label Bewafai. Show all posts
Showing posts with label Bewafai. Show all posts

Tuesday, January 29, 2013

Tu usse mil gaya jis ne tujhe kabhi manga hi nahin



Chaaha to bahut lekin woh mila hi nahin,
lakh koshish ki magar yeh fassla mita hi nahin,
is zamaane ne majboor hi is kadar kiya tha,
ke meri kisi sdaa par woh thehra hi nahin,
khuda se jholi faila kar maanga tha ussey,
khuda ne meri dua ko shaayad suna hi nahin,
aur ik se sabab puchha tere na milne ka,
aur ik ne kaha woh tere liye banaa hi nahin,
main apni tamaam koshishon ke bawajood
tujhe haar gaya,
aur tu usse mil gaya jis ne tujhe kabhi manga hi nahin,
itni shiddat se chaaha magar tu kisi aur ka ho gaya,
shaayad is jahan me wafa ka koi sila hi nahin. 

Nazro ki tarif kya kare,

Nazro ki tarif kya kare,
nazre to hai bewafa,
zukhti hai kabhi to kabh hai uthti,
karti nahi yeh kisi se bhi wafa. 

Wafaa ka naam na lo yaaro,
wafaa toh dil ko dukhaati hai.
sach toh yeh hai ke wafaa ka
naam lene se,
phir ek bewafaa ki yaad aa jaati hai..

Kabhi to ki hogi suraj ne chaand se mohabbat,
tabhi to chaand me daag hai,
mumkin hai ki chaand ne ki hogi bewafai,
tabhi to suraj mein aag hai ..


Mar mar ke koi kaise jeeta hai tu bhi jaan jati

Judai ka dard kya hota hai
tu kya jane,
hanste hue bhi dil kaise rota hai
tu kya jane,
koi ishq mein pagal kaise hota hai
tu kya jaane,
koi mar mar ke kaise jita hai
tu kya jane,
tere ishq mein ham kis kadar pagal
ho gaye tu kya jane,
kaash jo pyar hum ne tere liye
dil mein daba rakha tha
tujhe bataa paate,
to ye judai ka dard kya hota hai
hanste hue koi kaise rota hai
mar mar ke koi kaise jeeta hai
tu bhi jaan jati
aur iss kadar hame har din maut na aati 

Bewafai ka fasana hai

Mohabbat kar ke dekhi to
mohabbat ko pehchaana hai,
wafa bas naam ki hai
bewafai ka fasana hai.


Log ishq karte hain,
bade shor ke saath.
humne bhi kiya,
bade zor ke saath.
magar ab karenge,
thoda gaur ke saath.
kyonki kal usko dekha,
kisi aur ke saath.



Main bhi dil de baitha main naadaan tha

Maine jis larki ko chaaha tha jaanta
nahi tha ke wo bewafa thi,
us ki baaton mein kho gaya tha,
jaanta nahi tha wo baatein jhooti thi,
main bhi dil de baitha main naadaan tha,
jaanta nahi tha wo bewafa thi,
jin nigaahon ko main dekha karta tha,
main jaanta nahi tha wo nighaayein
bewafa thi.

Mohabbat ka khel humne bhi khela tha,

Mohabbat ka khel humne bhi khela tha,
kisi k dard ko humne bhi kharida tha,
bane the kabhi hum humdard jinke,
unhone hi hamara dil toda tha

Mere dost se pyaar!

Jaanta tha ki woh karegi bewafai,
par ye jaankar bhi mai kar baitha usse wafai,
jo kabhi kaha tha ki jaan bhi de denge mere liye
par aaj usne meri hi jaan le li kar ke bewafai.

Humare honth lal hai to kya
tumhare honth kaale hai?
bewafai ki top ho tum aur
kehte ho dilwale hai.



Mere dost se pyaar!
Na woh inkaar karti hai na woh ikraar karti hai
kambakht mere hi sapno mein aakar mere dost se pyaar karti hai.

Nibhaya na gaya

Mere dil vich si thikana usda
do kadam vi usto aaya na gaya
main puchhia kyon todia tu vada mera
ta has ke keha bas nibhaya na gaya

Bewafai karne ki koi wajah to naa thi

Jo main nai ki woh khata to naa thi,
jo tu ne ki woh wafaa to naa thi,
bewafai ko hi tu ne karna jayiz samjha
wafa karna zamane mein manaa to naa thi,
mere mohabbat mein shayad koi kami reh gayee,
waise meri mohabbat koi dagha to naa thi,
sab karte hain mohabbat dil se ..,.
mere karne se pehle yeh saza to naa thi,
mere paas khushiyaan thi par kaash tu jaan paata,
yeh khushi tere bina to naa thi,
tu bewafai kare ga mere saath,
yeh baat mujhe pata to naa thi,
main ne tujhe toot kar pyaar kiya magar,
bewafai karne ki koi wajah to naa thi,
shayad! mohabbat karna jurm samjha tu ne,
mohabbat karna waise gunaah to naa thi,
tu aaya aur chalaa gayaa meri duniya se,
aisi mere lab pe koi duwaa to naa thi,
bin awaaz kai cheekhoon gee main ab dilo dimaagh mein,
main tujh se nafrat karti hoon aaisi pehle koi sadaa to na thi,
sadaa phool hi barsaana chahaa teri zindagi mein,
main teri zindagi mein ek kaanta to naa thi,
neend se baidaar hone ke baad bhi andhera lagta hai,
teri bewafai ke baad koi subah meri subah to naa thi,
ghair bhi apno par reham farmaa dete hain,
par tujhe meri zara bhi parwaa to naa thi,
main sirf tum se pyaar karti thi sirf tum se,
teri tarah main har kisi par fidaa to naa thi,
tu yeh bata de ki aaisa kya keh diya maine aakhri baar?
waise meri aakhri mulaqaat koi shikwa yaa gilla to naa thi,
sab kehte thay,
aaj maine bhi maana ki,
tere dil mein pyaar,
mohabbat ki jagah to naa thi,
aaj main ne jaan liya tanhaai mein ke tab bhi,
mere paas meri duniya to naa thi,
aai kaash!! tu jaan paata ki aaj bhi aur kal bhi,
teri chahat mujh se judaa to naa thi.




 Mat kar itni mohabbat mere dost,

wo tujhe yaad itna kahan karti hai,
maine dekha hai tere aage to nahin
par tere peeche wo kisi aur se pyaar karti hai.

Har zakhm ko tere main sah loonga

Har zakhm ko tere main sah loonga,
nikli agar aah to pee loonga,
lekin tumhaari bewafai lekar,
aglaa janam nahi loonga.



Tera nam na aaye isliye mein chup hu

Kahi pyar mein barbaad na ho jaaye
isliye mein chup hu,
kahi pyar mein dhoka na khaaye
isliye main chup hu,
tum sochti ho main tumhe badnaam kar dunga,
bewafaao mein tera naam na aaye isliye main chup hu.


Woh magar bewafa nikla



Aye khuda mere aasuon se bhi tera kaleja nahin pighla,
meri ek bhi dua nahin suni tu bhi uski tarah pathar nikla,
pyar karna hi kya jurm tha mera tu bata?
jise maine amrit samjha
woh jaan-lewa jahar nikla
kitne haseen khwab lekar pyar ki raah par kadam rakha tha
jise dilwalon ki duniya samjhe the woh looteron ka shaher nikla,
meri zindagi mujhe yeh kis raah par le aayee,
jise phoolon ki sez samjhe the
woh kaaton ka safar nikla,
mujhe usko samajhne mein yeh kaisa dhokha hua
usko pyar ka masiha samjha
woh magar bewafa nikla.


Kal mera naam tak bhool jaoge tum

Toofan kar raha tha mere azm ka tawaaf,
duniya samajh rahi thi meri kashti
bhanwar mein hai,
lagi se to tuti acchi in beqadron ki yari,
bhala hua sang jaldi chhuta meri umar na biti saari,
kyon banaate ho tum ret ke ye mahal
jinhe ek roz khud mitaouge tum
aaj kahte ho mujhse se piyar hai tumhe
kal mera naam tak bhool jaoge tum. 

Har aansuon mein jo bahaa vo dard tumhara hai

Har aansuon mein jo bahaa vo dard tumhara hai,
humne kiya pyar jo tumse to kasoor humara hai,
dil-e-naadan ghalti kar baatha,
ek bewafa sa dil laga baatha.

Tumhare jhuthe pyar ko hamne zindagi samjha,
tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
tumhare khel ko mai samajh na sakaa,
tumko bewafa kehne ka kaabil na raha.

Likhna tha khoon se magar likh
raha hoon sihaai say,
marna tha duaoo se lekin,
mar raha hoon bewafai se.

Itni bedardi se dil ko mere voh tod degi
yeh maloom na tha mujhe akela voh chhor degi
aey mere masoom dil tu tanhai se pyar kar le
bewafa bhi ab wafa ka saath chhor degi

Pichhle baras tha khouf tujhe
kho na doun kaheen,
ab ke baras yeh dua hai
tera saamna na ho

Bewafa sanam se to cigarette achhi hai
bewafa sanam se to cigarette achhi hai
dil jalati hai,
par hoto se to lagti hai

Ae chand tumhe kya maloom ki chandni kya hai
ae jaam tumhe kya maloom ki nasha kya hai
ae ishq tumhe kya maloom ki aashiqui kya hai
bewafa..tumhe kya maloom ki bewafai kya hai

Aaj teray naam pey meri sada badal gayee
paya jo tujhko samney to fiza badal gayee,
na rahee jo pehlay si mohabbat mein sachaey
aey dost teray sheher ki hawa badal gayee,
tujh sa hi niklay woh jisay tu chahay
abb teray liyay meree dua badal gayee,
salam tak nahin leetay log iss kay shehar mein
sab rooth gaey houn jaisay woh kiya badal gayee,
dekha hey aaj dewanoun ki tarah
iss jan ki to eik eik adaa badal gayee 

Bewafaaon se dil lagane ki aadat ho gai



Bewafai ki yeh inteha ho gayi,
ke tujhse juda ho kar bhi jeene ki
aadat ho gay,
tum laut ke aaogey hum say milne,
roz dil ko behlaane ki aadat ho gayi,
tere waade pe kya bharosa kia hum ne,
ke shab bhar tera intezaar karne ki aadat ho gayi,
khushi mein bhi hum kya muskurate ke,
teri judaai mein rone ki aadat ho gayi,
kaafilay nikal gaye humein chhor ke,
ke ab to tanha safar ki aadat ho gai,
har mod par mili gham ki parchhaiyaan,
zindagi se samjhota karne ki aadat ho gayi,
jaante they ke nahi ho sakti kabhi tum hamaari,
phir bhi khuda se tujhey maangne ki aadat ho gayi,
paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom,
ke bewafaaon se dil lagane ki aadat ho gai.

maare zakhmo ki wajah bhi woh hai

Humaare zakhmo ki wajah bhi woh hai,
humaare zakhmo ki davaa bhi woh hai,
woh namak zakhmo pe lagaaye bhi to kya hua,
mohabbat karne ki wajah bhi to woh hai.

Unki aankho se kaash koi ishaara to hota,
kuchh mere jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har rasm zamaane ki,
ek baar hi sahi usne pukara to hota.

Sab kuchh milta hai bas ek "khudai" ke siwaa,
zindagi bahut pasand aayi bas ek "ruswai" ke siwa,
meri chaahat ka ehsaas bhi na kar sako ge tum,
uss ki har ada pasand hai bas ek 

Sajaa kar apni hi aankh hazaar chehron pe,
kiya hai maine sadaa aitbaar chehron pe,
main teri bazm me kis - kis se dushmani leta,
likha tha naam tera be-shumaar chehron pe.

Tuta hua sapna dil ko bohut jalata hai,
bewafao ke nakhre khuda is tarah batata hai,
jinhe kabhi phulo se jyada pyar kiya is bhanwre ne,
aaj wohi phul apne zeheriley kaatein chubata hai !! 


Teri yaadon ko dil se bhulaon kase
apne dil ko main samjhaun kaise
janta hun tum mujhe bul gaye ho
par main tumko bhulaun kaise
yaad aate hi tumhara wo pyaar
tere pyaar ko dil se mitaun kaise
tum to auro ke sath khush ho aaj
main apna dil gairon se lagaun kaise
jisne pyaar sikhaya,
usi ne daga diya
uski bewafa ki surat dil se mitaun kaise
tere pyar ko dil se bhulaun kaise


Taraste they jo milne ko humse kabhi,
aaj woh kyun mere saaye se katrate hain,
hum bhi wahi hain dil bhi wahi hai,
na jane kyun log badal jate hain.

Mujhe mohabaton se kuch mila nahi

Mujhe mohabaton se kuch mila nahi,
mujhe tum se bhi koi gila nahi,
Meri zindagi to bas ek uljhan si hai,
jise kabhi kisi ne suljaya nahi,
Meri zat se kisi ko kohi taklef ho,
main ne to kabhi be yeh chaha nahi,
Har ek ne mujh hi ko dard diya,
mere dard ko to kisi ne dekha hi nahi,
Kyon main rishton ko ilzam don,
mera hamsafar hi saath chala nahi,
Mein us ko bewafa sa lagta hoon,
jise khud ko wafa ka pata nahi. 



Matlabi ladkiyo se achchi toh meri ciggarate hain dosto
jo mere labon se apni zindagi ki shruaat karti hain aur
 mere kadmo ke neeche apna dum tod deti hain...