Sunday, January 27, 2013

Apne Hothon Par Saja Kar Tujhe Main

Apne Hothon Par Saja Kar Tujhe Main
Tere Hi Geet Gana Chahta Hoon
Jal Kar Bujh Jana Humari Kismat Sahi
Bas Ek Baar Roshan Hona Chahta Hoon


Dil dharakta hai tujhe dekhun to,
Saans bhi meri rukne lagti hai
Pyar itna hai mere dilmey sanam,
Rooh bhi meri khinch ne lagti hai!
Chain milta hai jab mei dekhun tujhe,
Warna ya saans rukne lagti hai 

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi,
Jab Unki Nigahe Humari Nigaho Ke Saath Hogi,
Baithe Hai Hum Uss Raat Ke Intezaar Me,
Jab Unke Hontho Ki Surkhiya Humare Hontho Ke Saath Hogi...


aksar jb erado mai jb chot lag jati hai .
uske baad na jane kyu neend nhi ati hai.
ye accha khayal hai jindadi jeene ka,
jindagi jaha se khatam hui nayi suruvaat waha ati hai..


ISHQ Wahi Hai Jo Ho Ek Tarfa
IZHAR E Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai
HAI Agar Ishq To Aankho Mein Dekho
ZUBAN Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai...


Zindagi Sirf Mohabbat Nahi,Kuch Aur Bhi Hay
Zulf-o-Rukhsar Ki Jannat Nahi,Kuch Aur Bhi Hay
Bhool-o-Aflas Ki Is Maari Hui Dunya Main
Ishq Hi Ek Haqiqat Nahi,Kuch Aur Bhi...


Tumhara dukh hum seh nahi sakte,
Bhari mehfil mein kuch keh nahi sakte,
Hamare girte hue aansuo ko pad kar dekho,
Woh bhi kehte hai ke hum aapke bin reh nahi sakte..


Dil ki baat jubaan pe aane ki hai baari
Pyar ki manzil dhoondti hai apni ye sawari
Dil ko dil se milane ki hai taiiyari
Aur in lamho ki khushboo mein doobi hai duniya saari


Band Rakhte Hai Jubaan Lub Khola Nhi Karte
Chand Ke Samne Sitare Bola Nhi Karte
Yaad Karte Hai Tumko Har Pal Lekin
Ye Raaz Hotho Se Kabhi Khola Nahi Karte


Ishq tujhse karta hoon
main zindagi se zyada
Main darta nahi maut se
teri judaii se zyada
Chahe to aazmale mujhe
kisi aur se zyada
Meri zindagi me kuch nahi
teri mohabbat se zyada


Pyaar Ki Rasm Nibha Di Humne
Apni Hasti Jo Mita Di Humne
Humko Khusi Na Mili Kabhi
Shama Ki Tarah Zindgi Zala Di Humne...


Naddan Hai Voh, Hairan Hai Voh
Khud Apne Hi Sawalon Se, Pareshaan Hai Voh,
Kya Bataun Unhe, Ki Pyar Kya Hota Hai
Abhi Sacchi Mohabbat Se, Anjaan Hai Voh...

No comments:

Post a Comment