Sunday, January 27, 2013

Yu to mohabbat ki haqiqat se hum khoob waqif the Doston....

Yu to mohabbat ki haqiqat se hum
khoob waqif the Doston....

Par pata nahi kyu unko dekha to___!!
Zara sa shouk hua zindagi barbaad
karne ka


Kagaz Pe Humne
Zindgi Likh Di,

Ansuo K Sagar Par Apni Har Khushi Likh Di,
Dard Ko Jab Humne Pukara,
Tab Zamane Ne Kaha"Wah Kya Shayari Likh Di".


Mein To Faana Ho Gaya Hon Uski Aankhain
Dekh KaR

Na Jane Woh Larki Aaina Kaise Dekhti
Hogi.....!!!


"Yeh zindagi tere saath ho
Yeh arzoo din raat ho..
Main tere sang sang chalun
Tu har safar mein mere saath ho..
Main kaanto par bhi chal pau
Tere pyar ki jab barsaat ho..
Kabhi shaam dhale jab hum mile
Na din dhale na raat ho.
Yeh zindagi tere saath ho..!!"
Tute hue phool khushboo de jaate hai.
Beete hue pal yaaden de jaate hai.
Her dost ka andaz hai apna apna.
Koi hansi ke phool to koi ghum ke sagar de jaate hai.


Her shaam her raat intezar me guzri.
Zindagi bebasi ke sailab me guzri.
Hum wo phool the jise rakh ker wo bhool gayi.
Phir tamam umar unki kitaab me guzri.


Hum To Pehle Se Hi Aapke Apne Hain Kya Zarurat Hai Hamein Azmane Ki
Yaad Na Karo To Koi Baat Nahi
Par Khwahish Na Karna Kabhi Bhul Jane Ki


Tamanna Ishq Ki Hum Bhi Rakhte Hain
Kisi Ke Dil Me Hum Bhi Dhadakte Hain
Na Jane Wo Kab Milenge
Jin Ke Liye Hum Roz Tapadte Hain


Khamosh Raat Ki Pehlu Me Sitare Na Hote
In Rookhi Aankhon Me Rangeen Nazare Na Hote
Hum Bhi Na Karte Parwah
Agar Aap Itne Pyare Na Hote


jitni masoom si ada hoti he.
dekho to hawa hoti he..
nadaan he jo kisi ko chahate he zindegi ki tarah.
nahi jante ki zindegi bhi to bewafaa hoti he.

No comments:

Post a Comment