Tuesday, January 29, 2013

Har aansuon mein jo bahaa vo dard tumhara hai

Har aansuon mein jo bahaa vo dard tumhara hai,
humne kiya pyar jo tumse to kasoor humara hai,
dil-e-naadan ghalti kar baatha,
ek bewafa sa dil laga baatha.

Tumhare jhuthe pyar ko hamne zindagi samjha,
tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
tumhare khel ko mai samajh na sakaa,
tumko bewafa kehne ka kaabil na raha.

Likhna tha khoon se magar likh
raha hoon sihaai say,
marna tha duaoo se lekin,
mar raha hoon bewafai se.

Itni bedardi se dil ko mere voh tod degi
yeh maloom na tha mujhe akela voh chhor degi
aey mere masoom dil tu tanhai se pyar kar le
bewafa bhi ab wafa ka saath chhor degi

Pichhle baras tha khouf tujhe
kho na doun kaheen,
ab ke baras yeh dua hai
tera saamna na ho

Bewafa sanam se to cigarette achhi hai
bewafa sanam se to cigarette achhi hai
dil jalati hai,
par hoto se to lagti hai

Ae chand tumhe kya maloom ki chandni kya hai
ae jaam tumhe kya maloom ki nasha kya hai
ae ishq tumhe kya maloom ki aashiqui kya hai
bewafa..tumhe kya maloom ki bewafai kya hai

Aaj teray naam pey meri sada badal gayee
paya jo tujhko samney to fiza badal gayee,
na rahee jo pehlay si mohabbat mein sachaey
aey dost teray sheher ki hawa badal gayee,
tujh sa hi niklay woh jisay tu chahay
abb teray liyay meree dua badal gayee,
salam tak nahin leetay log iss kay shehar mein
sab rooth gaey houn jaisay woh kiya badal gayee,
dekha hey aaj dewanoun ki tarah
iss jan ki to eik eik adaa badal gayee 

No comments:

Post a Comment