Sunday, January 27, 2013

yaado main kabhi aap bhi khoye hoge

yaado main kabhi aap bhi khoye hoge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat ghum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge

Mere dil ki yahi thi khwahish tujhe apna bana sakku
dard-e-dil ka haal sunna sakku
tum ne kabhi dekha hi nahi meri taraf pyar se
mauka mila hi nahi ke mein dil ki baat tumhe bata sakku


Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye,,
aag aise lagaye ke paani se bhi na bhuj paaye,,
Aaj bhi rote hain unhe yaad karke..
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE...... ......


Dard ko na dekhiye dard se
dard ko bhi dard hota hai
dard ko bhi zaroorat hai pyar ki
aakhir pyar mein dard hitoh hamdard hota hai


Ban sahara be-saharo ke liye
ban kinara be-kinaro ke liye
jo jeeye apne liye toh kya jeeye
jee sakke toh jee hazaro ke liye


Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho
zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho
kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai
zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho


Chand ka kya kasoor agar raat bewafa nikli
kuch pal thehri phir chal nikli.
Unse kya kahein woh to sache the
\shayad hamari taqdeer hi humse khafa nikli.


Ro Chuka Hu Me Itna Mujhe Kya Rulaega Koi,
Sun Chuka Hu Me Sab Kuch Mujhe Kya Bataega Koi,
Azmana Chahte Ho To Azmake Dekh Lo Mujhe,
Main Ek Bujhi Hui Shama Hu Mujhe Kya Bujhaega Koi !!!!!


Sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate,
sabhi lowg mehfil mein bulaaye nahi jaate,
kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,
kuch door reh kar bhi bhoolaye nahi jaate!


Zindagi K Mod par ek aisa waqt Aata hai,

Jab Insaan apne-Aapko tanha pata Hai.

Wahi tanhayia To bi hain ,

Ki Kaun Kiska kitna saath nibhata Hai.

No comments:

Post a Comment