Tuesday, January 29, 2013

Jab main peeta thha


Jab main peeta thha,

To usne chhuda di apni kasam de kar,
Jab maine chhodi, to yaaron ne pila di uski kasam de kar!!!


Bottle chupa dena kafan me    

Bottle chupa dena kafan me mere,
Shamshan me baith kar piya karuga.
Khuda maangega jab hisaab mujhse,
Ek ek peg bana kar diya karuga.


Pilaana farz tha to    
Pilaana farz tha to kuch bhi pila diya hota,
Sharaab kam thi to paani mila diya hota.
Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha,
To muskura kar sar hi hila diya hota.


Saaki se kah do ki    
Saaki se kah do ki may me ab woh baat na rahi,
Jab se nigaahon se pee hai botal ki yaad na rahi,
Behosh kaun karta hai yeh to waqt hi batayega,
Par jaam me ab unki nigaaho si kaaynaat na rahi.


Raat gumsum hai magar    

Raat gumsum hai magar chand khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi.
Aisa duba teri aakhon ki gehrai main,
Haath mein jaam hai magar pine ka hosh nahi.


Jaam se jaam    
Jaam se jaam aaj tu takra le,
Ankhon se chalki hai hoton se laga le.





Khareeda jaa nahin sakta
Khareeda jaa nahin sakta hai saaqi zarf rindon ka,
Bahut sheeshe pighalte hain to ek paimana banta hai.



Peeta Hoon
Nazaron se nazaaron ke jaam peeta hoon,
Jab aaye mehfil me tera naam, peeta hoon.

Har din na peeta yahaan main yaaron,
Bas jab-jab dhalti ye shaam, peeta hoon.

Saans lene ke siwa na koi kaam mujhe,
Bas jab-jab hota koi kaam, peeta hoon.

Tune jo humare dil se ki hai itni bewafaai,
To khud se uska le-le inteqam, peeta hoon.

Lagataar na kabhi peeta hai ghayal,
Har do lamha kar aaraam, peeta hoon.

Bina tere ab kaise jiyega ye ghayal,
So apni maut ka kar intezaam, peeta hoon


Jaam se kabhi    
Jaam se kabhi itni nafrat naa karo,
Ki peena chaho to kabhi pee na sako.
Kisi ko bhi itna pyar na karo,
Ki bichad kar jeena chaho to jee na sako.


Mohabbat yahan bikhti hai    
Mohabbat yahan bikhti hai aur ishq neelaam hota hai,
Bharose ka katal yahan khule aam hota hai.
Zamane se thokar milli to chale hum maikhane mein,
Aur wahi zamana hame sharabi sare aam kehta hai.

Hamari kahani sun    
Hamari kahani sun saki ki bhi aankhon main aansoo aa jate hain,
Saare maikhane ki sharab peekar bhi hum nashe main nahi aate hain,
Kya karein saki ab to itni jyada peene lage hain,
Kay hum maikhane main bhi darwaje se lauta diye jate hain.

Nazar saaki par hain
Nazar saaki par hain aur lab paimaane par,
Dil hamara hai aaj fir kisi ke nishaane par.
Woh khaali pyala liye lete hain kabar main apni,
Kehte hain sharab milaegi jannat kay aane par. 



Sham thi wo kaatil, jo uski yaaden le aai ,
They hum tanha, hame mahkhane le aaye,
Saaki ne to aur bhi zulm dhaya hum par,
Ke chchalak gaya paimana, aisi aankhon se pilayi.

1 comment: