Sunday, January 27, 2013

kaise kahe ki zindagi kya deti hai.

kaise kahe ki zindagi kya deti hai.
Har kadam pe ye daga deti hai.
Jinki jaan se bi jyada kimat ho dil me unhi se door rehne ki saza deti hai.


Pathar ki ye duniya jazbat nhi samajti,
dil me he jo wo bat nhi samjti,
tanha to chand b he sitaro k bich,
magar chand ka dard bewafa rat nhi samjti.


A mere humnashi chal kahi aur chal
Is chaman me ab apna guzaara nahi
Baat hoti gulon tak to seh lete hum
Ab to kaanto pe bi haq hamara Nai


Aa kr meri mazaar pe muskura dya.
bijli chamak uti sara badan jala dya.
Jite je na pucha dard e ishq ab aaya puchhne jab khaak me mila diya


Aksar gumsum rehnewala nagma hu me,
apki yado me rehnewala lamha hu me,
aap mere dost ho toh ek baat btao aapke hote huye b kyu tanha hu me

Jab me dooba to kinare par khadi thi duniya
hasne walo me muqaddar b shamil tha ro raha tha jo mery laash se lipat kar kaise kahe wohi mera katil tha


khaali haat aap aaye the huzoor
khaali haat aap jaayenge zaroor
hamein sms na kar ke
kitne chillar bachayenge huzoor


Jindgi gamo se dur nhi hoti,har khusi Dil ke karib nhi hoti,
Dosti ko pyar se sajakar rakhna mere dost,


ye wo ibadat hai,
jo sabko nasib nahi hoti.



Woh kya samjhegi pyar ki gehrai ko,
Jo pagalpan samajhti hai meri tanhai ko,
Wafa ki ummeed to humne hi ki thi,
Ab kyon ilzam de uski bewafai ko.


Teri dosti ne diya sakoon itna,
K tere baad koi achha na lage,
Tujhe karni hai bewafai to iss ada se kar,
K tere baad koi bewafa na lage.

1 comment:

  1. Bhool karke agar humse koi bhool hui hoTo bhool samajkar bhula dena,
    Lekin bhulna sirf bhool ko Galati se bhi hame na bhula dena..
    god blase u

    ReplyDelete