Tuesday, January 29, 2013

maare zakhmo ki wajah bhi woh hai

Humaare zakhmo ki wajah bhi woh hai,
humaare zakhmo ki davaa bhi woh hai,
woh namak zakhmo pe lagaaye bhi to kya hua,
mohabbat karne ki wajah bhi to woh hai.

Unki aankho se kaash koi ishaara to hota,
kuchh mere jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har rasm zamaane ki,
ek baar hi sahi usne pukara to hota.

Sab kuchh milta hai bas ek "khudai" ke siwaa,
zindagi bahut pasand aayi bas ek "ruswai" ke siwa,
meri chaahat ka ehsaas bhi na kar sako ge tum,
uss ki har ada pasand hai bas ek 

Sajaa kar apni hi aankh hazaar chehron pe,
kiya hai maine sadaa aitbaar chehron pe,
main teri bazm me kis - kis se dushmani leta,
likha tha naam tera be-shumaar chehron pe.

Tuta hua sapna dil ko bohut jalata hai,
bewafao ke nakhre khuda is tarah batata hai,
jinhe kabhi phulo se jyada pyar kiya is bhanwre ne,
aaj wohi phul apne zeheriley kaatein chubata hai !! 


Teri yaadon ko dil se bhulaon kase
apne dil ko main samjhaun kaise
janta hun tum mujhe bul gaye ho
par main tumko bhulaun kaise
yaad aate hi tumhara wo pyaar
tere pyaar ko dil se mitaun kaise
tum to auro ke sath khush ho aaj
main apna dil gairon se lagaun kaise
jisne pyaar sikhaya,
usi ne daga diya
uski bewafa ki surat dil se mitaun kaise
tere pyar ko dil se bhulaun kaise


Taraste they jo milne ko humse kabhi,
aaj woh kyun mere saaye se katrate hain,
hum bhi wahi hain dil bhi wahi hai,
na jane kyun log badal jate hain.

No comments:

Post a Comment