Tuesday, January 29, 2013

Woh magar bewafa nikla



Aye khuda mere aasuon se bhi tera kaleja nahin pighla,
meri ek bhi dua nahin suni tu bhi uski tarah pathar nikla,
pyar karna hi kya jurm tha mera tu bata?
jise maine amrit samjha
woh jaan-lewa jahar nikla
kitne haseen khwab lekar pyar ki raah par kadam rakha tha
jise dilwalon ki duniya samjhe the woh looteron ka shaher nikla,
meri zindagi mujhe yeh kis raah par le aayee,
jise phoolon ki sez samjhe the
woh kaaton ka safar nikla,
mujhe usko samajhne mein yeh kaisa dhokha hua
usko pyar ka masiha samjha
woh magar bewafa nikla.


Kal mera naam tak bhool jaoge tum

Toofan kar raha tha mere azm ka tawaaf,
duniya samajh rahi thi meri kashti
bhanwar mein hai,
lagi se to tuti acchi in beqadron ki yari,
bhala hua sang jaldi chhuta meri umar na biti saari,
kyon banaate ho tum ret ke ye mahal
jinhe ek roz khud mitaouge tum
aaj kahte ho mujhse se piyar hai tumhe
kal mera naam tak bhool jaoge tum. 

No comments:

Post a Comment