Tuesday, January 29, 2013

Latest Sharab Shayari 2


Pee ke raat ko    
Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage.


Aashikon ko mohabbat ke alava    
Aashikon ko mohabbat ke alava agar kuchh kaam hota,
Toh maikhane jake har roz yun badnam na hota,

Mil jaati chahne wali usse bhi kahin raah mein koi,
Agar kadmon mein nasha aur hath mein jaam na hota.


Aisi kiran hoon    
Aisi kiran hoon, jise suraj ne kabhi apna nahin samjha,
Aisi khusbu hoon, jise phoolon ne apna nahin samjha.
Aisi dhadkan hoon, jise dil ne kabhi apna na samjha,
Lekin khushnaseeb hoon, jo is sharabi ko maikhane ne apna samjha.


Madhhosh hum hardam    
Madhhosh hum hardam raha karte hain,
Aur ilzaam sharaab ko diya karte hain.
Kasoor sharaab ka nahi unka hai yaron,
Jinka chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain.


Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat    
Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri,
Main bhi sharif hua karta tha is zamane mein,
Pehle din shuru karta tha masjid mein namaaz se,
Ab dhalti hai shaam sharab ke sath mehkhane mein.


Pine de aur mujhe    
Pine de aur mujhe ki hosh abhi baki hai,
Tere yaadon ka ek lamha abhi baki hai,
Jana hai ladkhadate hue maihkhane se mujhko,
Pine de thodi, saanson mein jaan bhi baaki hain.

   
Jaam mein afsane
Jaam mein afsane dhoondhte hain hum log,
Lamhon mein zamaane dhoondhte hain hum log,
Tu zeher de de sharab keh kar saqi,
Ab to marne ke bahane dhoondhte hain hum log.

Sharabi ilzaam sharaab ko deta hai    
Sharabi ilzaam sharaab ko deta hai,
Aashiq bhi ilzaam shabaab ko deta hai.
Koi nahi karta, kabool apni bhool,
Kantaa bhi ilzaam gulaab ko deta hai.


Doosron ke liye kharaab hi sahi    
Doosron ke liye kharaab hi sahi,
Hamare liye to zindagi ban jati hai.
Sau ghamon ko nichodne ke bad hi,
Ek katra shaarab ban jati hai.


Saqii aur pila ki...    
Saqii aur pila ki pilane ki raat hai,
Pee-pee ke aaj hosh main na aane ki raat hai.
La aaj shaarab mein mujhko dubo de,
Maine suna hai aaj pyaas bujhane ki raat hai.

Aankhon se dil ke fasane nikale    
Aankhon se dil ke fasane nikale,
Maikhane se sharaab ke deewane nikle.
Jo dil ka haal samajh na paya,
Kyon usko hum zakhm dikhane nikle.


Zindagi hai jeene ki liye    
Zindagi hai jeene ki liye to jiya kyun naa jaaye,
Uski bewafai ne diya mauka to piya kyun naa jaaye.


   
Dil mein ek dard liye
Dil mein ek dard liye jiye ja raha hoon,
Teri mohabbat ka jaam piye ja rahan hoon,
Na chahte huye bhi ye kaam kiye jaa raha hoon,
Na jane khud ko kaun si manzil par liye ja raha hoon.


Hothon pe aaj unka naam aa gaya    
Hothon pe aaj unka naam aa gaya,
Pyase ke hath mein aaj jaam aa gaya.
Dole kadam to gire unki bahon main ja ke,
Aaj to peena bhi hamare kaam aa gaya.


Botal main sharab    
Botal main sharab, sharab main uski tasveer nazar aati hai,
Nahi peeta to nasha chala jata hai, peeta hoon to uski tasveer chali jati hai.


Ummeed nahi hai phir bhi    
Ummeed nahi hai phir bhi jiye ja raha hoon,
Khali hai botal phir bhi piye ja raha hoon,
Pata nahi woh milenge ya nahi,
Izhar-e-mohabaat ke liye piye ja raha hoon.


Kuchh chehre lajawab lagte hain    
Kuchh chehre lajawab lagte hain,
Mahobbat ke lamhe sharaab lagte hain,
Dard itne sahe mohabbat mein maine,
Ki ab hosh ke pal kharab lagte hain.


Tumko mohabbat ki sachchai    
Tumko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Unko to mohabbat ki gehraai maar dalegi,
Kar ke mohabbat koi nahi bachega yaron,
Unki judaai main hame sharab maar dalegi.

Yaadon se salaam
Waqt ke haath thaam leta hoon,
Zindege tham jaati hai pal bhar ke liye,
Jab mein hathon mein sharab-a-jaam leta hoon.


Yeh dil sharabi hai    
Yeh dil sharabi hai,
Har kadam par machal jata hai,
Tum gar chhod ke jao to bhi gham nahin,
Yeh roz naye maikhane se dil behlata hai.


Nasha-e-gham mein    
Nasha-e-gham mein shayari,
Likhne ka alag sa maza aata hai,
Main nahin dalta ras shayari mein,
Ye to sharab ke sang aa jata hai.


Dard-e-gham itna mila ki    
Dard-e-gham itna mila ki ghabra ke pee gaye,
Thodi si khushi mili to mila ke pee gaye,
Yun to na thi pahle se pine ki aadat lekin,
Bewafaa kii bewafaai ko bhula ke pee gaye.

Kutch peete hain    
Kutch peete hain nasha chadaane ke liye,
Kutch peete hain gham bhulaane ke liye.
Jaane kyun duniya kehti hai sharab ko bura,
Sharabi to peeta hai muskuraane ke liye.

Bewafai ki jab usne di dhamki mujhe    
Bewafai ki jab usne di dhamki mujhe,
Keh diya maine ki dekha jaayega.
Pee lee hai do ghoont sakhi maine,
Maikade se kaun pyaasa jaayega.


Sharabi bankar
Sharabi bankar khush ho leta hoon,
Har jaam se dard bhar leta hoon,
Ek bewafa ka nasha to mujhe har pal rehta hai,
Is sharab se thoda hosh sambhal leta hoon,
Kaho saqi se muje aur peene de,
Yaron thoda apne liye bhi jee leta hoon.

Chaaron taraf tanhaai ka    
Chaaron taraf tanhaai ka saya hai,
Zindagii mein pyaar kisne paya hai,
Hum yaadon mein jhoomte hain unki,
Aur zamana kehta hai aaj phir peekar aaya hai.

Devdas ko paaro ne    
Devdas ko paaro ne nakam kar diya,
Sharabi ko sharab ne badnam kar diya,
Mohabbat ho ya sharab, dono ka asar dekh lo,
Devdas aur sharabi ka, eksa anjaam kar diya...


Maikhane saje the    
Maikhane saje the, Jam ka tha daur,
Jam me kya tha ye kisne kiya tha gaur,
Jam me gham tha mere armanon ka,
Aur sab kahe rahe the ek Aur, ek Aur..

.
Itna Sa Kaam    
Saqii bus itna sa kaam kar,
Ye sare ilzaam mere naam-kar.
Ek-do paimane se mera kya hoga,
Karna hai to sara maikhana mere naam-kar.


Jhutha jhutha sabkuch jhutha    
Jhutha jhutha sabkuch jhutha.
Sacchi magar sharab hai.
Pite sabi hain dunia me fir kehte kyon kharab hai.
Yari jhuthi yaar bhi jhutha.
Jhutha toh dildar bhi jhutha.
Husn bhi jhutha ishq bhi jhutha.
Jhuthi kasme wada jhutha.
Payal jhuthi kangna jhutha.
Khushiya jhuthi gam bhi jhutha.
Lehre jhuthi sagar jhutha.
Kashti jhuthi majhi jhutha.
Hosh aaya to pina jhutha.
Pi ke hosh me aana jhutha.

Read more: http://www.funbull.com/Sher-O-Shayari/Sharab-Shayari.asp?thisPG=4#ixzz2JOJHWPjG

1 comment: