Tuesday, January 29, 2013

Bewafai ka fasana hai

Mohabbat kar ke dekhi to
mohabbat ko pehchaana hai,
wafa bas naam ki hai
bewafai ka fasana hai.


Log ishq karte hain,
bade shor ke saath.
humne bhi kiya,
bade zor ke saath.
magar ab karenge,
thoda gaur ke saath.
kyonki kal usko dekha,
kisi aur ke saath.



Main bhi dil de baitha main naadaan tha

Maine jis larki ko chaaha tha jaanta
nahi tha ke wo bewafa thi,
us ki baaton mein kho gaya tha,
jaanta nahi tha wo baatein jhooti thi,
main bhi dil de baitha main naadaan tha,
jaanta nahi tha wo bewafa thi,
jin nigaahon ko main dekha karta tha,
main jaanta nahi tha wo nighaayein
bewafa thi.

Mohabbat ka khel humne bhi khela tha,

Mohabbat ka khel humne bhi khela tha,
kisi k dard ko humne bhi kharida tha,
bane the kabhi hum humdard jinke,
unhone hi hamara dil toda tha

No comments:

Post a Comment