Tuesday, January 29, 2013

Bewafai karne ki koi wajah to naa thi

Jo main nai ki woh khata to naa thi,
jo tu ne ki woh wafaa to naa thi,
bewafai ko hi tu ne karna jayiz samjha
wafa karna zamane mein manaa to naa thi,
mere mohabbat mein shayad koi kami reh gayee,
waise meri mohabbat koi dagha to naa thi,
sab karte hain mohabbat dil se ..,.
mere karne se pehle yeh saza to naa thi,
mere paas khushiyaan thi par kaash tu jaan paata,
yeh khushi tere bina to naa thi,
tu bewafai kare ga mere saath,
yeh baat mujhe pata to naa thi,
main ne tujhe toot kar pyaar kiya magar,
bewafai karne ki koi wajah to naa thi,
shayad! mohabbat karna jurm samjha tu ne,
mohabbat karna waise gunaah to naa thi,
tu aaya aur chalaa gayaa meri duniya se,
aisi mere lab pe koi duwaa to naa thi,
bin awaaz kai cheekhoon gee main ab dilo dimaagh mein,
main tujh se nafrat karti hoon aaisi pehle koi sadaa to na thi,
sadaa phool hi barsaana chahaa teri zindagi mein,
main teri zindagi mein ek kaanta to naa thi,
neend se baidaar hone ke baad bhi andhera lagta hai,
teri bewafai ke baad koi subah meri subah to naa thi,
ghair bhi apno par reham farmaa dete hain,
par tujhe meri zara bhi parwaa to naa thi,
main sirf tum se pyaar karti thi sirf tum se,
teri tarah main har kisi par fidaa to naa thi,
tu yeh bata de ki aaisa kya keh diya maine aakhri baar?
waise meri aakhri mulaqaat koi shikwa yaa gilla to naa thi,
sab kehte thay,
aaj maine bhi maana ki,
tere dil mein pyaar,
mohabbat ki jagah to naa thi,
aaj main ne jaan liya tanhaai mein ke tab bhi,
mere paas meri duniya to naa thi,
aai kaash!! tu jaan paata ki aaj bhi aur kal bhi,
teri chahat mujh se judaa to naa thi.




 Mat kar itni mohabbat mere dost,

wo tujhe yaad itna kahan karti hai,
maine dekha hai tere aage to nahin
par tere peeche wo kisi aur se pyaar karti hai.

No comments:

Post a Comment